Dear Readers,
Instead of the column, these verses this Holi: sing them, recite them and share generously. Apology for meaningful plagiarism.
You could all have accessed these verses on your own but the thought may not have crossed your mind.
bādal aa.e haiñ ghir gulāl ke laal
kuchh kisī kā nahīñ kisī ko ḳhayāl
RANGIN SAADAT YAAR KHAN
baad-e-bahār meñ sab ātish junūn kī hai
har saal āvatī hai garmī meñ fasl-e-holī
WALI UZLAT
Daal kar ġhunchoñ kī muñdrī shāḳh-e-gul ke kaan meñ
ab ke holī meñ banānā gul ko jogan ai sabā
MUSHAFI GHULAM HAMDANI
holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne
naam-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai
SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM
SEE GHAZAL
mausam-e-holī hai din aa.e haiñ rañg aur raag ke
ham se tum kuchh māñgne aao bahāne phaag ke
MUSHAFI GHULAM HAMDANI
muñh par naqāb-e-zard har ik zulf par gulāl
holī kī shaam hī to sahar hai basant kī
Zulf
MADHAV RAM JAUHAR
muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī
uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī
SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM
saaqī kuchh aaj tujh ko ḳhabar hai basant kī
har sū bahār pesh-e-nazar hai basant kī
UFUQ LAKHNAVI
sajnī kī āñkhoñ meñ chhup kar jab jhāñkā
bin holī khele hī sājan bhiig gayā
MUSAVVIR SABZWARI
SEE GHAZAL
holi ki bahaaren
jab phaagun ra.ng jhamakte ho.n tab dekh bahaare.n holii kii
aur daf ke shor kha.Dakte ho.n tab dekh bahaare.n holii kii
Nazeer Akbarabadi
NAZM
holi
aa dhamke aish o tarab kyaa kyaa jab husn dikhaayaa holii ne
har aan KHushii kii dhuum hu.ii yuu.n lutf jataayaa holii ne
Nazeer Akbarabadi
NAZM
holi
fasl-e-bahaar aa.ii hai holii ke ruup me.n
sola-si.nghaar laa.ii hai holii ke ruup me.n
Saghar Nizami
NAZM
holi
kahii.n pa.De na mohabbat kii maar holii me.n
adaa se prem karo dil se pyaar holii me.n
Nazeer Banarasi
NAZM
holi
pahle zamaana aur thaa mai aur thii daur aur thaa
vo boliyaa.n hii aur thii.n vo Toliyaa.n hii aur thii.n, vo holiyaa.n hii aur thii.n
Ali Jawwad Zaidi
NAZM
holi
aaj hai roz-e-vasa.nt ai dostaa.n
sarv-qad hai bostaa.n ke darmiyaa.n
Faez Dehlvi
MASNAVI
holi
chhaa.ii hai.n har ik samt jo holii kii bahaare.n
pichkaariyaa.n taane vo hasiino.n kii qataare.n
Saghar Khayyami
NAZM
aisi manaen holi
ho ke sarshaar bahut ishq se gaa.e.n holii
ik na.e ra.ng se apno.n ko sunaa.e.n holii
Kanval Dibaivi
NAZM
holi khelne ki farmaish par
hai ye ahbaab ko israar ki holii kheluu.n
to.D duu.n aaj to mai.n zohd-o-taqaddus kaa fusuu.n
Kanval Dibaivi
NAZM
gale mujhko laga lo ai mere dildar holi mein
gale mujh ko lagaa lo ai mire dildaar holii me.n
bujhe dil kii lagii bhii to ai mere yaar holii me.n
Bhartendu Harishchandra
GHAZAL
holi
ham se nazar milaa.iye holii kaa roz hai
tiir-e-nazar chalaa.iye holii kaa roz hai
Julius Naheef Dehlvi
NAZM
basant aur holi ki bahaar
saaqii kuchh aaj tujh ko KHabar hai basant kii
har suu bahaar pesh-e-nazar hai basant kii
Ufuq Lakhnavi
NAZM
holi
muhayyaa sab hai ab asbaab-e-holii
uTho yaaro bharo ra.ngo.n se jholii
Shaikh Zahuruddin Hatim
MASNAVI
kahin abir ki KHushbu kahin gulal ka rang
kahii.n abiir kii KHushbuu kahii.n gulaal kaa ra.ng
kahii.n pe sharm se simTe hu.e jamaal kaa ra.ng
Azhar Iqbal
QITA
holi jawani ki boli mein
agar aaj bhii bolii-Tholii na hogii
to holii Thikaane kii holii na hogii
Nazeer Banarasi
NAZM